ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai ko_ii
ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai ko_ii
hai ashk aa.Nkho.n me.n aur muskuraa rhaa hai koii
nazar nazar me.n tajallii dikhaa rahaa hai koii
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii
taKhayulaat ke dhoke hai.n sab shab-e-vaadaa
na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koii
ye husn-o-ishq kii tasviir ke hai.n do ma.nzar
ki ro rahaa hai koii muskuraa rahaa hai koii
"Qadeer" hashr me.n pahu.Nche to ham ne kyaa dekhaa
kisii ke haath se daaman chhu.Daa rahaa hai koii
|