Gam kaa vo zor ab mere andar nahii.n rahaa
Gam kaa vo zor ab mere andar nahii.n rahaa
is umr me.n mai.n itanaa samar_var nahii.n rahaa
is ghar me.n jo kashish thii ga_ii un dino.n ke saath
is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahii.n rahaa
vo husn-e-naubahaar abad shauq jism sun
rahanaa thaa us ko saath mere par nahii.n rahaa
mujh me.n hii kuchh kamii thii ki behatar mai.n un se thaa
mai.n shahar me.n kisii ke baraabar nahii.n rahaa
rahabar ko un ke haal kii ho kis tarah Khabar
logo.n ke daramiyaa.N vo aakar nahii.n rahaa
vaapas na jaa vahaa.N ki tere shahar me.n 'Munir'
jo jis jagah pe thaa vo vahaa.N par nahii.n rahaa
Additions and corrections by Suresh Gokhale
|