tum bhii 'Majaz' insaa.N ho aaKhir laakh chhupaao ishq apanaa
ye bhed magar khul jaayegaa ye raaz magar afshaa.N hogaa
Contributed by Sudhanshu
ruudaad-e-Gam-e-ulfat ham un se kyaa kahate kyo.n kar kahate
ek harf na nikalaa ho.nTho.n se aur aa.Nkh me.n aa.Nsuu aa bhii gaye
us mahafil-e-kaif-o-mastii me.n us a.njuman-e-irfaanii me.n
sab jaam ba-kaf baiThe hii rahe ham pii bhii gaye chhalakaa bhii gaye
chhalake terii aa.Nkho.n se sharaab aur zyaadaa
mahake.n tere aariz ke gulaab aur zyaadaa
allaah kare zor-e-shabaab aur zyaadaa
sach to ye hai 'Majaz' kii duniyaa
husn aur ishq ke sivaa kyaa hai
|