ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah
Jan Nissar Akhtar
ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah
hamane chaahaa hai tumhe.n chaahane vaalo.n kii tarah
Khud-ba-Khud nii.nd-sii aa.Nkho.n me.n ghulii jaatii hai
mahakii mahakii hai shab-e-Gam tere baalo.n kii tarah
aur kyaa is se zyaadaa ko_ii narmii baratuu.N
dil ke zaKhmo.n ko chhuaa hai tere gaalo.n kii tarah
aur to mujh ko milaa kyaa merii mehanat kaa silaa
cha.nd sikke hai.n mere haath me.n chhaalo.n kii tarah
zindagii jis ko teraa pyaar milaa vo jaane
ham to naakaam rahe chaahane vaalo.n kii tarah