ab chhalakte hue saaGar nahii.n dekhe jaate
ab chhalakte hue saaGar nahii.n dekhe jaate
taubaa ke baad ye manzar nahii.n dekhe jaate
[saaGar=wine cup; ma.nzar=scene]
mast kar ke mujhe auro.n ko lagaa muu.Nh saaqii
ye karam hosh me.n rah kar nahii.n dekhe jaate
saath har ek ko is raah me.n chalanaa hogaa
ishq me.n rah_zan-o-rah_bar nahii.n dekhe jaate
[rah_zan=highway robbers; rah_bar=guide]
ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalanaa lekin
un ke badale hue tevar nahii.n dekhe jaate
|