Subh-e-aazaadii
ye daaG daaG ujaalaa, ye shab_gaziidaa sahar
Faiz Ahmed Faiz
ye daaG daaG ujaalaa, ye shab_gaziidaa sahar
wo intazaar thaa jis kaa, ye wo sahar to nahii.n
ye wo sahar to nahii.n jis kii aarazuu lekar
chale the yaar ki mil jaayegii kahii.n na kahii.n
falak ke dasht me.n taro.n kii aaKharii ma.nzil
kahii.n to hogaa shab-e-sust mauj kaa saahil
kahii.n to jaa ke rukegaa safinaa-e-Gam-e-dil
jawaa.N lahuu kii pur-asaraar shaaharaaho.n se
chale jo yaar to daaman pe kitane haath pa.De
dayaar-e-husn kii be-sabr Khwaab-gaaho.n se
pukaratii rahii.n baahe.n, badan bulaate rahe
bahut aziiz thii lekin ruKh-e-sahar kii lagan
bahut qarii.n thaa hasiinaan-e-nuur kaa daaman
subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan
sunaa hai ho bhii chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
sunaa hai ho bhii chukaa hai wisaal-e-ma.nzil-o-gaam
badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar kii aag, nazar kii uma.ng, dil kii jalan
kisii pe chaaraa-e-hijraa.N kaa kuchh asar hii nahii.n
kahaa.N se aaii nigaar-e-sabaa, kidhar ko gaii
abhii chiraaG-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hii nahii.n
abhii garaani-e-shab me.n kamii nahii.n aaii
najaat-e-diida-o-dil kii gha.Dii nahii.n aaii
chale chalo ki wo ma.nzil abhii nahii.n aaii
August 1947 |